ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main
'ishq kartā huuñ, taqāzā nahīñ kar saktā maiñ
mirā dāman hai so melā nahīñ kar saktā maiñ
itnī fursat hai ki ik duniyā banā saktā huuñ
par koī hai jise apnā nahīñ kar saktā maiñ
kitne logoñ ne in āñkhoñ se shifā paa.ī hai
ek bīmār ko achchhā nahīñ kar saktā maiñ
ghar se niklā to ye mumkin hai bhaTak hī jā.ūñ
yaar ab apnā to pīchhā nahīñ kar saktā maiñ
raat bhar shor machātā hai kisī ḳhauf ke taht
apne ham-zād pe parcha nahīñ kar saktā maiñ
āḳhirī saañs hai kuchh mujh pe karam ho sayyād
dekh ab aur tamāshā nahīñ kar saktā maiñ
bhiik bhī chāhiye us dast-e-saḳhī se mujh ko
aur dāman bhī kushāda nahīñ kar saktā maiñ
'ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main
mera daman hai so mela nahin kar sakta main
itni fursat hai ki ek duniya bana sakta hun
par koi hai jise apna nahin kar sakta main
kitne logon ne in aankhon se shifa pai hai
ek bimar ko achchha nahin kar sakta main
ghar se nikla to ye mumkin hai bhaTak hi jaun
yar ab apna to pichha nahin kar sakta main
raat bhar shor machata hai kisi KHauf ke taht
apne ham-zad pe parcha nahin kar sakta main
aaKHiri sans hai kuchh mujh pe karam ho sayyaad
dekh ab aur tamasha nahin kar sakta main
bhik bhi chahiye us dast-e-saKHi se mujh ko
aur daman bhi kushada nahin kar sakta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.