ishq karte ho KHasaron ki taraf mat dekho
ishq karte ho ḳhasāroñ kī taraf mat dekho
do qadam chal ke sahāroñ kī taraf mat dekho
apne andar ke ajā.ib kī karo sair kabhī
sirf bāhar ke nazāroñ kī taraf mat dekho
paar utarnā hai to phir kuud paḌo dariyā meñ
aise muḌ-muḌ ke kināroñ kī taraf mat dekho
ham se zarre bhī qatāroñ meñ khaḌe haiñ kab se
bas chamakte hue tāroñ kī taraf mat dekho
ḳhat-e-tansīḳh agar khīñchnā vājib ho to phir
teġh lahrā do hazāroñ kī taraf mat dekho
'altamash' tum ko na bhaTkā deñ ye manzil se kahīñ
ye ishāre haiñ ishāroñ kī taraf mat dekho
ishq karte ho KHasaron ki taraf mat dekho
do qadam chal ke sahaaron ki taraf mat dekho
apne andar ke ajaib ki karo sair kabhi
sirf bahar ke nazaron ki taraf mat dekho
par utarna hai to phir kud paDo dariya mein
aise muD-muD ke kinaron ki taraf mat dekho
hum se zarre bhi qataron mein khaDe hain kab se
bas chamakte hue taron ki taraf mat dekho
KHat-e-tansiKH agar khinchna wajib ho to phir
tegh lahra do hazaron ki taraf mat dekho
'altamash' tum ko na bhaTka den ye manzil se kahin
ye ishaare hain ishaaron ki taraf mat dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.