ishq ke bab mein kirdar hun diwane ka
ishq ke baab meñ kirdār huuñ dīvāne kā
maiñ na āġhāz na anjām huuñ afsāne kā
kuchh nahīñ naqd-e-junūñ apnā ba-juz dāġh-e-alam
yuuñ to har zarra guhar-tāb thā vīrāne kā
husn bhī kahte haiñ tanvīr-e-nazar ko kuchh log
sham.a bhī naam hai us bazm meñ parvāne kā
shukr hai terī talab juzv-e-alam hai varna
mujh meñ thā hausla jiine kā na mar jaane kā
chāhe jitnā bhī tujhe dekh ke masrūr ho dil
tū hī unvāñ hai ġham-e-zīst ke afsāne kā
mushkil-e-ishq ko āsān karo tum hī 'na.īm'
e.atibār is meñ hai apne kā na begāne kā
ishq ke bab mein kirdar hun diwane ka
main na aaghaz na anjam hun afsane ka
kuchh nahin naqd-e-junun apna ba-juz dagh-e-alam
yun to har zarra guhar-tab tha virane ka
husn bhi kahte hain tanwir-e-nazar ko kuchh log
shama bhi nam hai us bazm mein parwane ka
shukr hai teri talab juzw-e-alam hai warna
mujh mein tha hausla jine ka na mar jaane ka
chahe jitna bhi tujhe dekh ke masrur ho dil
tu hi unwan hai gham-e-zist ke afsane ka
mushkil-e-ishq ko aasan karo tum hi 'naim'
eatibar is mein hai apne ka na begane ka
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 162)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.