ishq ke kaam ko anjam nahin karte hum
'ishq ke kaam ko anjām nahīñ karte ham
'ishq ho jaa.e to phir kaam nahīñ karte ham
aise lamhoñ meñ vo kartā hai 'atā ḳhil'at-e-vasl
jab koī ḳhvāhish-e-in'ām nahīñ karte ham
pūjte pūjte ik but ko ḳhudā kar Daalā
kaun kahtā hai ki islām nahīñ karte ham
aap kā jism sharī'at kā hai pāband bahut
jā.iye aap pe ilhām nahīñ karte ham
devtāoñ ko laḌāte nahīñ aapas meñ kabhī
krishn karte haiñ to phir raam nahīñ karte ham
barhana hī haram-e-jism kā karte haiñ tavāf
ruuh kī gardish-e-ehrām nahīñ karte ham
us ke dīdār kā sūraj nikal aa.e jis roz
sub.h se phir talab-e-shām nahīñ karte ham
'farhat-ehsās' tujhe shā'irī karne ke liye
ulTā-sīdhā tirā kyā kaam nahīñ karte ham
'ishq ke kaam ko anjam nahin karte hum
'ishq ho jae to phir kaam nahin karte hum
aise lamhon mein wo karta hai 'ata KHil'at-e-wasl
jab koi KHwahish-e-in'am nahin karte hum
pujte pujte ek but ko KHuda kar Dala
kaun kahta hai ki islam nahin karte hum
aap ka jism shari'at ka hai paband bahut
jaiye aap pe ilham nahin karte hum
dewtaon ko laDate nahin aapas mein kabhi
krishn karte hain to phir ram nahin karte hum
barhana hi haram-e-jism ka karte hain tawaf
ruh ki gardish-e-ehram nahin karte hum
us ke didar ka suraj nikal aae jis roz
subh se phir talab-e-sham nahin karte hum
'farhat-ehsas' tujhe sha'iri karne ke liye
ulTa-sidha tera kya kaam nahin karte hum
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 66)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.