ishq ke mai-kade mein aa ranj-o-alam ko bhul ja
ishq ke mai-kade meñ aa ranj-o-alam ko bhuul jā
shīsha-e-mai hai sāmne shiddat-e-ġham ko bhuul jā
jalva hai us kā rū-ba-rū jis kī hai tujh ko justujū
mahv-e-jamāl-e-yār ho dair-o-haram ko bhuul jā
dil meñ ye ġhaur kar zarā kis pe karegā tū jafā
ham na kareñge ab gila shauq se ham ko bhuul jā
bāda-parast hai agar jām-e-shikasta ko na dekh
tishna-labī pe naaz kar sāġhar-e-jam ko bhuul jā
ishq kī shaan hai yahī ishq kī jaan hai yahī
baḌh ke unheñ gale lagā zulm-o-sitam ko bhuul jā
koī nahīñ hai jis ko ham apnā kaheñ jahān meñ
'shā.ir' isī meñ ḳhair hai lutf-o-karam ko bhuul jā
ishq ke mai-kade mein aa ranj-o-alam ko bhul ja
shisha-e-mai hai samne shiddat-e-gham ko bhul ja
jalwa hai us ka ru-ba-ru jis ki hai tujh ko justuju
mahw-e-jamal-e-yar ho dair-o-haram ko bhul ja
dil mein ye ghaur kar zara kis pe karega tu jafa
hum na karenge ab gila shauq se hum ko bhul ja
baada-parast hai agar jam-e-shikasta ko na dekh
tishna-labi pe naz kar saghar-e-jam ko bhul ja
ishq ki shan hai yahi ishq ki jaan hai yahi
baDh ke unhen gale laga zulm-o-sitam ko bhul ja
koi nahin hai jis ko hum apna kahen jahan mein
'shair' isi mein KHair hai lutf-o-karam ko bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.