ishq ke raaz-ha-e-pinhan ko
ishq ke rāz-hā-e-pinhāñ ko
kaun samjhā hai kis ne jaanā hai
farq-e-maut-o-hayāt ye samjho
ik haqīqat hai ik fasāna hai
ab zarā tez-gām ai rahrav
ho ga.ī shaam duur jaanā hai
har qadam par fareb khaa.e haiñ
husn-e-zan kā bhī kyā Thikānā hai
jis ko tum kah rahe ho dīvāna
us kī Thokar meñ ik zamānā hai
barq aa.e hazār baar aa.e
ham ko phir āshiyāñ banānā hai
amn-e-sāhil se kyā ġharaz un ko
jin ko tūfāñ meñ Duub jaanā hai
ab kahāñ zo.am-e-bāl-o-par baaqī
ab koī daam hai na daana hai
ye ḳhizāñ ke hasīn saa.e haiñ
fasl-e-gul kā to ik bahānā hai
vo bhī din the ki thā chaman apnā
ab to bhūlā huā fasāna hai
jaane kyā ho gayā zamāne ko
jaane kaisā ajab zamāna hai
mauj-zan dil meñ jazba-e-nafrat
aur andāz dostāna hai
ab 'qamar' ḳhair ho gulistāñ kī
barq kī zad pe āshiyāna hai
ishq ke raaz-ha-e-pinhan ko
kaun samjha hai kis ne jaana hai
farq-e-maut-o-hayat ye samjho
ek haqiqat hai ek fasana hai
ab zara tez-gam ai rahraw
ho gai sham dur jaana hai
har qadam par fareb khae hain
husn-e-zan ka bhi kya Thikana hai
jis ko tum kah rahe ho diwana
us ki Thokar mein ek zamana hai
barq aae hazar bar aae
hum ko phir aashiyan banana hai
amn-e-sahil se kya gharaz un ko
jin ko tufan mein Dub jaana hai
ab kahan zoam-e-baal-o-par baqi
ab koi dam hai na dana hai
ye KHizan ke hasin sae hain
fasl-e-gul ka to ek bahana hai
wo bhi din the ki tha chaman apna
ab to bhula hua fasana hai
jaane kya ho gaya zamane ko
jaane kaisa ajab zamana hai
mauj-zan dil mein jazba-e-nafrat
aur andaz dostana hai
ab 'qamar' KHair ho gulistan ki
barq ki zad pe aashiyana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.