ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai
ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
ishq ke shahr kī kuchh āb-o-havā aur hī hai
us ke sahrā ko jo dekhā to fazā aur hī hai
tujh se kuchh kaam nahīñ duur ho aage se nasīm
vā kare ġhuncha-e-dil ko vo sabā aur hī hai
nabz par merī abas haath tū rakhtā hai tabīb
ye maraz aur hai aur is kī davā aur hī hai
gul to gulshan meñ hazāroñ nazar aa.e lekin
us ke chehre ko jo dekhā to safā aur hī hai
zāhido vird-vazā.if se nahīñ hāsil-e-kār
jis ko ho husn-e-ijābat vo duā aur hī hai
ai jaras harza-dirā ho na tū itnā chup rah
pahuñche pas-māñda ba-manzil vo sadā aur hī hai
mohtasib ham se abas kiina rakhe hai 'hātim'
jo nasha ham ne piyā hai vo nashā aur hī hai
ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai
us ke sahra ko jo dekha to faza aur hi hai
tujh se kuchh kaam nahin dur ho aage se nasim
wa kare ghuncha-e-dil ko wo saba aur hi hai
nabz par meri abas hath tu rakhta hai tabib
ye maraz aur hai aur is ki dawa aur hi hai
gul to gulshan mein hazaron nazar aae lekin
us ke chehre ko jo dekha to safa aur hi hai
zahido wird-wazaif se nahin hasil-e-kar
jis ko ho husn-e-ijabat wo dua aur hi hai
ai jaras harza-dira ho na tu itna chup rah
pahunche pas-manda ba-manzil wo sada aur hi hai
mohtasib hum se abas kina rakhe hai 'hatim'
jo nasha hum ne piya hai wo nasha aur hi hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 311)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.