ishq ke zamane bhi kya ajab zamane the
'ishq ke zamāne bhī kyā 'ajab zamāne the
aag par bhī chalnā thā paañv bhī bachāne the
kuchh dhuāñ bhī shāmil thā shahr kī havāoñ meñ
kuchh hamārī āñkhoñ meñ zaḳhm bhī purāne the
ratjagoñ ne bīnā.ī chhīn lī to hairat kyā
'aql ke kabhī tum ne mashvare na maane the
kitnī jān-levā thī kashmakash mohabbat kī
tere raaz the dil meñ tujh se hī chhupāne the
rāsta dikhāte the lafz raushnī ban kar
kaise log the vo bhī vo bhī kyā zamāne the
'ishq ke zamane bhi kya 'ajab zamane the
aag par bhi chalna tha panw bhi bachane the
kuchh dhuan bhi shamil tha shahr ki hawaon mein
kuchh hamari aankhon mein zaKHm bhi purane the
ratjagon ne binai chhin li to hairat kya
'aql ke kabhi tum ne mashware na mane the
kitni jaan-lewa thi kashmakash mohabbat ki
tere raaz the dil mein tujh se hi chhupane the
rasta dikhate the lafz raushni ban kar
kaise log the wo bhi wo bhi kya zamane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.