ishq ki aasudgi ko aur kya darkar tha
ishq kī āsūdgī ko aur kyā darkār thā
gesuoñ kī chhāñv thī yā sāya-e-dīvār thā
dar-haqīqat vo qarīb-e-jalva-gāh-e-yār thā
jis kī āñkhoñ meñ mazāq-e-hasrat-e-dīdār thā
aaj vo kyoñ khā rahā hai dar-ba-dar kī Thokareñ
taḳht-e-ālam kā jo kal tak mālik-o-muḳhtār thā
māvarā-e-aish thā jab ādamiyyat kā vajūd
kis qadar be-dāġh vo ā.īna-e-kirdār thā
zauq-e-nazzāra kī quvvat salb ho kar rah ga.ī
jalva-gāh-e-nāz par kyā parda-e-asrār thā
tā-qayāmat jis ke naqsh-e-pā raheñge zau-fishāñ
faḳhr hai ham ko vo apnā qāfila-sālār thā
maġhfirat farmā.e maulā 'sādiq'-e-marhūm kī
vo mirā ustād 'anvar' ik baḌā fankār thā
ishq ki aasudgi ko aur kya darkar tha
gesuon ki chhanw thi ya saya-e-diwar tha
dar-haqiqat wo qarib-e-jalwa-gah-e-yar tha
jis ki aankhon mein mazaq-e-hasrat-e-didar tha
aaj wo kyon kha raha hai dar-ba-dar ki Thokaren
taKHt-e-alam ka jo kal tak malik-o-muKHtar tha
mawara-e-aish tha jab aadamiyyat ka wajud
kis qadar be-dagh wo aaina-e-kirdar tha
zauq-e-nazzara ki quwwat salb ho kar rah gai
jalwa-gah-e-naz par kya parda-e-asrar tha
ta-qayamat jis ke naqsh-e-pa rahenge zau-fishan
faKHr hai hum ko wo apna qafila-salar tha
maghfirat farmae maula 'sadiq'-e-marhum ki
wo mera ustad 'anwar' ek baDa fankar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.