ishq ki baaten sunta rahta hun
'ishq kī bāteñ suntā rahtā huuñ
mahfiloñ meñ bahut akelā huuñ
murda huuñ zinda huuñ taḌaptā huuñ
kyā huuñ maiñ ek adhūrī ichchhā huuñ
shahr ke khulte rahte jangal meñ
vus’at-e-dasht ko tarastā huuñ
tū sahar kā ubhartā rang-o-nūr
maiñ pur-asrār shab kā sahrā huuñ
nagrī nagrī na.e mile haiñ dost
kyoñ ghar aa kar maiñ itnā tanhā huuñ
kyā baḌe ḳhvāb 'rāhī' aur kyā shauq
ḳhaak kā ġharche ek zarra huuñ
'ishq ki baaten sunta rahta hun
mahfilon mein bahut akela hun
murda hun zinda hun taDapta hun
kya hun main ek adhuri ichchha hun
shahr ke khulte rahte jangal mein
wus’at-e-dasht ko tarasta hun
tu sahar ka ubharta rang-o-nur
main pur-asrar shab ka sahra hun
nagri nagri nae mile hain dost
kyon ghar aa kar main itna tanha hun
kya baDe KHwab 'rahi' aur kya shauq
KHak ka gharche ek zarra hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.