ishq ki chausar kis ne kheli ye to khel hamare hain
ishq ki chausar kis ne kheli ye to khel hamare hain
Mubarak Azimabadi
MORE BYMubarak Azimabadi
ishq kī chausar kis ne khelī ye to khel hamāre haiñ
dil kī baazī maat huī to jaan kī baazī haare haiñ
kaise kaise laḳht-e-jigar haiñ kyā kyā dil ke paare haiñ
aise la.al kahāñ duniyā meñ jaise la.al hamāre haiñ
is ko maarā us ko maarā ye bismil vo TuuT gayā
nok palak vāloñ se Dariye qātil un ke ishāre haiñ
chhalnī chhalnī dil bhī jigar bhī rauzan rauzan siina bhī
ek nigāh-e-nāz ne terī tiir hazāroñ maare haiñ
phūñk rahā hai soz-e-nihānī kaun is aag pe Daale paanī
dil kī lagī ne aag lagā dī daaġh nahīñ añgāre haiñ
lāla-ruḳhoñ meñ umr gizārī dekhī un kī fasl-e-bahār
aaj bhī gul se gāloñ vaale mujh ko 'mubārak' pyāre haiñ
ishq ki chausar kis ne kheli ye to khel hamare hain
dil ki bazi mat hui to jaan ki bazi haare hain
kaise kaise laKHt-e-jigar hain kya kya dil ke pare hain
aise lal kahan duniya mein jaise lal hamare hain
is ko mara us ko mara ye bismil wo TuT gaya
nok palak walon se Dariye qatil un ke ishaare hain
chhalni chhalni dil bhi jigar bhi rauzan rauzan sina bhi
ek nigah-e-naz ne teri tir hazaron mare hain
phunk raha hai soz-e-nihani kaun is aag pe Dale pani
dil ki lagi ne aag laga di dagh nahin angare hain
lala-ruKHon mein umr gizari dekhi un ki fasl-e-bahaar
aaj bhi gul se galon wale mujh ko 'mubarak' pyare hain
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.