ishq ki dekhiye rudad-e-wafa Thahri hai
ishq kī dekhiye rūdād-e-vafā Thahrī hai
dil kī āvāz zamāne kī sadā Thahrī hai
aaj tak ā.ina-e-dil meñ yaqīnan mere
har jafā terī vafāoñ kī adā Thahrī hai
ab kahāñ jā.eñge ye ahl-e-ḳhirad ahl-e-junūñ
aarzū dil kī to zanjīr-e-vafā Thahrī hai
jaane kis moḌ pe hāsil hai sukūñ logoñ ko
jaane kis moḌ pe ye taaza havā Thahrī hai
aaj ke daur meñ hai jurm mohabbat karnā
aaj ke daur meñ ulfat bhī ḳhatā Thahrī hai
sunte haiñ 'shād' ki vīrāne meñ dil ke apne
ġham kī rūdād zamāne kī jafā Thahrī hai
ishq ki dekhiye rudad-e-wafa Thahri hai
dil ki aawaz zamane ki sada Thahri hai
aaj tak aaina-e-dil mein yaqinan mere
har jafa teri wafaon ki ada Thahri hai
ab kahan jaenge ye ahl-e-KHirad ahl-e-junun
aarzu dil ki to zanjir-e-wafa Thahri hai
jaane kis moD pe hasil hai sukun logon ko
jaane kis moD pe ye taza hawa Thahri hai
aaj ke daur mein hai jurm mohabbat karna
aaj ke daur mein ulfat bhi KHata Thahri hai
sunte hain 'shad' ki virane mein dil ke apne
gham ki rudad zamane ki jafa Thahri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.