ishq ki jurat se khele baDh ke apni jaan par
ishq ki jurat se khele baDh ke apni jaan par
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
'ishq kī jur.at se khele baḌh ke apnī jaan par
aañch aane dī na ham ne aaj tak īmān par
vaqt ne qadreñ badal diiñ laakh is ke bāvajūd
haq bahut kuchh hai abhī insān kā insān par
ḳhaar ḳhushbū de rahe haiñ aaj gulshan ke liye
phuul gul-daste kī sūrat meñ haiñ ātish-dān par
aaj bhī mahloñ meñ sāzish is tarah hotī to hai
ek hangāme se ban jaatī hai sab kī jaan par
us farishte ne na chhoḌā un kā dāman thaam kar
shaiḳh jī paḌhte rahe lāhaul tak shaitān par
kaun jaane kal havā kyā ruḳh karegī iḳhtiyār
ḳhush na hoñ aaġhā musībat hai agar afġhān par
inqilāb aane to do insāf bhī ho jā.egā
phuljhaḌī bhārī paḌegī aag ke tūfān par
ham bhī rakhte haiñ vafā ke shahr meñ apnā maqām
haq barahman kā nahīñ hai saare hindustān par
chāhiye 'zaidī' falak par ghan-garaj ke saath saath
harf aane de na bijlī bādaloñ kī aan par
'ishq ki jurat se khele baDh ke apni jaan par
aanch aane di na hum ne aaj tak iman par
waqt ne qadren badal din lakh is ke bawajud
haq bahut kuchh hai abhi insan ka insan par
KHar KHushbu de rahe hain aaj gulshan ke liye
phul gul-daste ki surat mein hain aatish-dan par
aaj bhi mahlon mein sazish is tarah hoti to hai
ek hangame se ban jati hai sab ki jaan par
us farishte ne na chhoDa un ka daman tham kar
shaiKH ji paDhte rahe lahaul tak shaitan par
kaun jaane kal hawa kya ruKH karegi iKHtiyar
KHush na hon aagha musibat hai agar afghan par
inqilab aane to do insaf bhi ho jaega
phuljhaDi bhaari paDegi aag ke tufan par
hum bhi rakhte hain wafa ke shahr mein apna maqam
haq barahman ka nahin hai sare hindustan par
chahiye 'zaidi' falak par ghan-garaj ke sath sath
harf aane de na bijli baadalon ki aan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.