ishq ki koi intiha hi nahin
ishq kī koī intihā hī nahīñ
is maraz kī koī davā hī nahīñ
aa.e dekhā mujhe hañse aur phir
chal diye kuchh kahā sunā hī nahīñ
us se nazreñ milīñ thiiñ pal bhar ko
dil kahāñ kho gayā pata hī nahīñ
maiñ nazar meñ basī huuñ maan bhī lo
aa.ina jhuuT boltā hī nahīñ
us ko zid hai ki ab nahīñ milnā
dil hai pāgal ke māntā hī nahīñ
mujh se mujh ko churā ke le jaatā
pahle tum sā koī milā hī nahīñ
kitne din ho ga.e ki phone tirā
kaan meñ shahd gholtā hī nahīñ
raat ik ajnabī milā thā 'vafā'
niiñd phir kyā huī pata hī nahīñ
ishq ki koi intiha hi nahin
is maraz ki koi dawa hi nahin
aae dekha mujhe hanse aur phir
chal diye kuchh kaha suna hi nahin
us se nazren milin thin pal bhar ko
dil kahan kho gaya pata hi nahin
main nazar mein basi hun man bhi lo
aaina jhuT bolta hi nahin
us ko zid hai ki ab nahin milna
dil hai pagal ke manta hi nahin
mujh se mujh ko chura ke le jata
pahle tum sa koi mila hi nahin
kitne din ho gae ki phone tera
kan mein shahd gholta hi nahin
raat ek ajnabi mila tha 'wafa'
nind phir kya hui pata hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.