ishq ki mearaj unki Thokaren khane mein hai
ishq kī me.arāj un kī Thokareñ khāne meñ hai
kūcha-e-jānāñ kī musht-e-ḳhāk ban jaane meñ hai
jāma-e-hastī nazar ke taane aur baane meñ hai
dekh lo kitnī haqīqat mere afsāne meñ hai
vus.at-e-kaunain baḳhshī arsh kā rutba diyā
kaisī gunjā.ish ilāhī dil ke paimāne meñ hai
mah-ruḳhoñ kī Toliyāñ aatī rahīñ jaatī rahīñ
ek aalam hū kā mere dil ke vīrāne meñ hai
rakh ke jis ko shaiḳh ne pī thī kabhī nām-e-ḳhudā
bā.is-e-barkat vahī dastār mai-ḳhāne meñ hai
sāya-e-dīvār kī sūrat maiñ Dhal jaatā vahīñ
do ghaḌī umr us galī se aane aur jaane meñ hai
naaz farmā.e shabāb ai nayyar-e-tābān-e-husn
taar chāñdī kā tirī kanghī ke dandāne meñ hai
apnī sī chal kar na hogī ḳhatm bāzī-e-hayāt
ai bisāt-e-zindagī kah maat kis ḳhāne meñ hai
ishq ki mearaj un ki Thokaren khane mein hai
kucha-e-jaanan ki musht-e-KHak ban jaane mein hai
jama-e-hasti nazar ke tane aur bane mein hai
dekh lo kitni haqiqat mere afsane mein hai
wusat-e-kaunain baKHshi arsh ka rutba diya
kaisi gunjaish ilahi dil ke paimane mein hai
mah-ruKHon ki Toliyan aati rahin jati rahin
ek aalam hu ka mere dil ke virane mein hai
rakh ke jis ko shaiKH ne pi thi kabhi nam-e-KHuda
bais-e-barkat wahi dastar mai-KHane mein hai
saya-e-diwar ki surat main Dhal jata wahin
do ghaDi umr us gali se aane aur jaane mein hai
naz farmae shabab ai nayyar-e-taban-e-husn
tar chandi ka teri kanghi ke dandane mein hai
apni si chal kar na hogi KHatm bazi-e-hayat
ai bisat-e-zindagi kah mat kis KHane mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.