ishq ki rah mein ek wo bhi maqam aata hai
'ishq kī raah meñ ik vo bhī maqām aatā hai
rāh-rau ke liye manzil kā salām aatā hai
mutma.in be-par-o-bālī pe huuñ yuuñ ham-nafaso
vaqf-e-parvāz hī aksar tah-e-dām aatā hai
vaj.h-e-barbādī-e-dil pūchh rahī hai duniyā
lab pe kyā jāniye kyoñ aap kā naam aatā hai
dil-e-nākām sahī phir bhī to merā dil hai
yahī nā-kām bure vaqt meñ kaam aatā hai
ruuh āñkhoñ meñ simaTtī nazar aatī hai mujhe
kyā kisī bhūlne vaale kā payām aatā hai
ye bhī saaqī kī nigāhoñ kā karam hai 'anvar'
zikr sunte hī mirā vajd meñ jaam aatā hai
'ishq ki rah mein ek wo bhi maqam aata hai
rah-rau ke liye manzil ka salam aata hai
mutmain be-par-o-baali pe hun yun ham-nafaso
waqf-e-parwaz hi aksar tah-e-dam aata hai
wajh-e-barbaadi-e-dil puchh rahi hai duniya
lab pe kya jaaniye kyon aap ka nam aata hai
dil-e-nakaam sahi phir bhi to mera dil hai
yahi na-kaam bure waqt mein kaam aata hai
ruh aankhon mein simaTti nazar aati hai mujhe
kya kisi bhulne wale ka payam aata hai
ye bhi saqi ki nigahon ka karam hai 'anwar'
zikr sunte hi mera wajd mein jam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.