ishq ki rah mein jo dar-o-rasan hai kyun hai
ishq kī raah meñ jo dār-o-rasan hai kyuuñ hai
sar kaTāne kī har ik dil meñ lagan hai kyuuñ hai
jis kī ḳhushbū se mo.attar haiñ vafā kī rāheñ
mere siine meñ vo zaḳhmoñ kā chaman hai kyuuñ hai
jis meñ likkhī hai tavārīḳh ka.ī sadiyoñ kī
vaqt ke sar pe paḌī aisī shikan hai kyuuñ hai
kyā use ishq se mahrūm rakhā qudrat ne
shams ke siine meñ jo itnī jalan hai kyuuñ hai
mujh pe bandish ye ki us par maiñ ġhazal bhī na kahūñ
gul-badan hai vo agar ġhuncha-dahan hai kyuuñ hai
mujh se pūchho na sabab maiñ na batā pā.ūñgā
us se milne kā agar merā ye man hai kyuuñ hai
us ko ma.alūm haiñ duniyā kī misāleñ lekin
ishq ke sahrā meñ jo dil kā hiran hai kyuuñ hai
kitnā maġhrūr thā vus.at pe jo apnī lekin
mere ik naqsh-e-qadam par vo gagan hai kyuuñ hai
jis ke paḌne se 'nadīm' apnā badan khil jaa.e
ishq kī lau meñ bhalā aisī kiran hai kyuuñ hai
ishq ki rah mein jo dar-o-rasan hai kyun hai
sar kaTane ki har ek dil mein lagan hai kyun hai
jis ki KHushbu se moattar hain wafa ki rahen
mere sine mein wo zaKHmon ka chaman hai kyun hai
jis mein likkhi hai tawariKH kai sadiyon ki
waqt ke sar pe paDi aisi shikan hai kyun hai
kya use ishq se mahrum rakha qudrat ne
shams ke sine mein jo itni jalan hai kyun hai
mujh pe bandish ye ki us par main ghazal bhi na kahun
gul-badan hai wo agar ghuncha-dahan hai kyun hai
mujh se puchho na sabab main na bata paunga
us se milne ka agar mera ye man hai kyun hai
us ko malum hain duniya ki misalen lekin
ishq ke sahra mein jo dil ka hiran hai kyun hai
kitna maghrur tha wusat pe jo apni lekin
mere ek naqsh-e-qadam par wo gagan hai kyun hai
jis ke paDne se 'nadim' apna badan khil jae
ishq ki lau mein bhala aisi kiran hai kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.