ishq ki rah mein mushkil kabhi aisi to na thi
ishq ki rah mein mushkil kabhi aisi to na thi
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
ishq kī raah meñ mushkil kabhī aisī to na thī
be-qarārī tujhe ai dil kabhī aisī to na thī
dāstān-e-dil-e-bismil kabhī aisī to na thī
guftugū-e-lab-e-qātil kabhī aisī to na thī
aaj shāyad kisī kashtī kā yahāñ dam TuuTā
sogvārī lab-e-sāhil kabhī aisī to na thī
shāḳh-e-gul hai na nasheman ġham-e-sayyād alag
muzmahil jān-e-anādil kabhī aisī to na thī
kuchh dikhā.ī nahīñ detā hai añdhere ke sivā
uf ye gard-e-rah-e-manzil kabhī aisī to na thī
āsmāñ par haiñ nigāheñ na samundar kī taraf
qaum hālāt se ġhāfil kabhī aisī to na thī
aaj har lafz tirā kyoñ hai riyā-kār-e-jahāñ
guftugū nāzish-e-mahfil kabhī aisī to na thī
ruḳh-e-mahbūb kī zulfoñ kā ghanerā bādal
ye ghaTā pyaar ke qābil kabhī aisī to na thī
mushkileñ yuuñ to ai 'muḳhtār' bahut aa.ī haiñ
haañ magar raah meñ mushkil kabhī aisī to na thī
ishq ki rah mein mushkil kabhi aisi to na thi
be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
dastan-e-dil-e-bismil kabhi aisi to na thi
guftugu-e-lab-e-qatil kabhi aisi to na thi
aaj shayad kisi kashti ka yahan dam TuTa
sogwari lab-e-sahil kabhi aisi to na thi
shaKH-e-gul hai na nasheman gham-e-sayyaad alag
muzmahil jaan-e-anadil kabhi aisi to na thi
kuchh dikhai nahin deta hai andhere ke siwa
uf ye gard-e-rah-e-manzil kabhi aisi to na thi
aasman par hain nigahen na samundar ki taraf
qaum haalat se ghafil kabhi aisi to na thi
aaj har lafz tera kyon hai riya-kar-e-jahan
guftugu nazish-e-mahfil kabhi aisi to na thi
ruKH-e-mahbub ki zulfon ka ghanera baadal
ye ghaTa pyar ke qabil kabhi aisi to na thi
mushkilen yun to ai 'muKHtar' bahut aai hain
han magar rah mein mushkil kabhi aisi to na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.