ishq ki rahon pe chalna hai to ruswai na dekh
ishq kī rāhoñ pe chalnā hai to rusvā.ī na dekh
tujh ko paanī meñ utarnā hai to gahrā.ī na dekh
dekhnā ye hai pas-e-parda mulavvis kaun hai
paañv meñ kis shaḳhs ne zanjīr pahnā.ī na dekh
paḌh sake to paḌh hikāyāt-e-ġham-e-vāraftgāñ
dhuup meñ jhulse hue chehroñ pe ra.anā.ī na dekh
ḳhār-zāroñ se guzar jā tū bilā ḳhauf-o-ḳhatar
ai musāfir har jagah rasm-e-shanāsā.ī na dekh
tujh ko manzil kī talab hai to qadam aage baḌhā
is safar meñ ham-safar koī mire bhaa.ī na dekh
sāmne aa guftugū kā hausla rakhtā huuñ maiñ
merī sūrat par na jā zaḳhm-e-shanāsā.ī na dekh
ḳhud na ban 'aḳhtar' tamāshā is tamāshā-gāh meñ
dekh apne aap ko zarf-e-tamāshā.ī na dekh
ishq ki rahon pe chalna hai to ruswai na dekh
tujh ko pani mein utarna hai to gahrai na dekh
dekhna ye hai pas-e-parda mulawwis kaun hai
panw mein kis shaKHs ne zanjir pahnai na dekh
paDh sake to paDh hikayat-e-gham-e-waraftgan
dhup mein jhulse hue chehron pe ranai na dekh
KHar-zaron se guzar ja tu bila KHauf-o-KHatar
ai musafir har jagah rasm-e-shanasai na dekh
tujh ko manzil ki talab hai to qadam aage baDha
is safar mein ham-safar koi mere bhai na dekh
samne aa guftugu ka hausla rakhta hun main
meri surat par na ja zaKHm-e-shanasai na dekh
KHud na ban 'aKHtar' tamasha is tamasha-gah mein
dekh apne aap ko zarf-e-tamashai na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.