ishq ki Tisen jo mizrab-e-rag-e-jaan ho gain
ishq kī Tīseñ jo mizrāb-e-rag-e-jāñ ho ga.iiñ
ruuh kī mad.hosh bedārī kā sāmāñ ho ga.iiñ
pyaar kī mīThī nazar se tū ne jab dekhā mujhe
talḳhiyāñ sab zindagī kī lutf-e-sāmāñ ho ga.iiñ
ab lab-e-rañgīñ pe nūrīñ muskurāhaT kyā kahūñ
bijliyāñ goyā shafaq-zāroñ meñ raqsāñ ho ga.iiñ
mājrā-e-shauq kī be-bākiyāñ un par nisār
haa.e vo āñkheñ jo zabt-e-ġham meñ giryāñ ho ga.iiñ
chhā ga.iiñ dushvāriyoñ par merī sahl-añgāriyāñ
mushkiloñ kā ik ḳhayāl aayā ki āsāñ ho ga.iiñ
ishq ki Tisen jo mizrab-e-rag-e-jaan ho gain
ruh ki madhosh bedari ka saman ho gain
pyar ki miThi nazar se tu ne jab dekha mujhe
talKHiyan sab zindagi ki lutf-e-saman ho gain
ab lab-e-rangin pe nurin muskurahaT kya kahun
bijliyan goya shafaq-zaron mein raqsan ho gain
majra-e-shauq ki be-bakiyan un par nisar
hae wo aankhen jo zabt-e-gham mein giryan ho gain
chha gain dushwariyon par meri sahl-angariyan
mushkilon ka ek KHayal aaya ki aasan ho gain
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 194)
- Author : Majiid Amjad
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.