ishq kisi se kar baiThi anjaane mein
'ishq kisī se kar baiThī anjāne meñ
aur phir sāñseñ bharnī paḌīñ harjāne meñ
kab se lagī huuñ ḳhud ko ye samjhāne meñ
ek hī hichkī lagtī hai mar jaane meñ
sach to ye hai dhuup kā bilkul haath nahīñ
saarī ḳhatā phūloñ kī hai murjhāne meñ
ḳhvāboñ kī ik laash achānak bol uThī
kitnī der lagāoge dafnāne meñ
kis ne 'sarītā' aaj darīche khol diye
dhuup utar kar aa.ī hai tah-ḳhāne meñ
'ishq kisi se kar baiThi anjaane mein
aur phir sansen bharni paDin harjaane mein
kab se lagi hun KHud ko ye samjhane mein
ek hi hichki lagti hai mar jaane mein
sach to ye hai dhup ka bilkul hath nahin
sari KHata phulon ki hai murjhane mein
KHwabon ki ek lash achanak bol uThi
kitni der lagaoge dafnane mein
kis ne 'sarita' aaj dariche khol diye
dhup utar kar aai hai tah-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.