ishq ko apne liye samjha asasa dil ka
ishq ko apne liye samjhā asāsa dil kā
aur is dil ne banā Daalā tamāshā dil kā
ba.ad tere koī nazroñ meñ samāyā hī nahīñ
ab sadā detā nahīñ ḳhālī ye kaasa dil kā
ek tūfān hai roke se nahīñ jo ruktā
mauj ne toḌ diyā ho na kinārā dil kā
do-ghaḌī chain se jiine nahīñ detā nādāñ
jaan paate hī nahīñ kyā hai irāda dil kā
vo palaT aa.e kabhī aur use maiñ na milūñ
le hī Dūbegā kisī roz ye dhaḌkā dil kā
chāhateñ bāñTī haiñ duniyā ko mohabbat dī hai
maiñ ne kab yūñhī sambhālā hai ḳhazāna dil kā
darmiyāñ ishq ke dīvār khaḌī hai 'shahnāz'
aql pe kaisā lagā aaj ye pahra dil kā
ishq ko apne liye samjha asasa dil ka
aur is dil ne bana Dala tamasha dil ka
baad tere koi nazron mein samaya hi nahin
ab sada deta nahin KHali ye kasa dil ka
ek tufan hai roke se nahin jo rukta
mauj ne toD diya ho na kinara dil ka
do-ghaDi chain se jine nahin deta nadan
jaan pate hi nahin kya hai irada dil ka
wo palaT aae kabhi aur use main na milun
le hi Dubega kisi roz ye dhaDka dil ka
chahaten banTi hain duniya ko mohabbat di hai
main ne kab yunhi sambhaala hai KHazana dil ka
darmiyan ishq ke diwar khaDi hai 'shahnaz'
aql pe kaisa laga aaj ye pahra dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.