ishq ko chhoD kar aur sab baat ki
'ishq ko chhoḌ kar aur sab baat kī
us ne jab jab bhī mujh se mulāqāt kī
hijr kahtā hai sūraj na Duube kabhī
aur ḳhvāboñ kī ḳhvāhish hai phir raat kī
aaj Thahreñge ham bhī tire shahr meñ
bādaloñ se guzārish hai barsāt kī
ik qalam maiñ ne tohfe meñ kyā dī use
us ne har daf'a phir us kī hī baat kī
zindagī-bhar ujāloñ ko tarse haiñ ham
intihā ho ga.ī dekh zulmāt kī
merī āñkhoñ meñ logoñ ne dekhā tumheñ
jab bhī chashma utārā tirī baat kī
zikr jab bhī mirī shā'irī kā huā
sab ne bauchhār kar dī hidāyāt kī
'ishq ko chhoD kar aur sab baat ki
us ne jab jab bhi mujh se mulaqat ki
hijr kahta hai suraj na Dube kabhi
aur KHwabon ki KHwahish hai phir raat ki
aaj Thahrenge hum bhi tere shahr mein
baadalon se guzarish hai barsat ki
ek qalam main ne tohfe mein kya di use
us ne har daf'a phir us ki hi baat ki
zindagi-bhar ujalon ko tarse hain hum
intiha ho gai dekh zulmat ki
meri aankhon mein logon ne dekha tumhein
jab bhi chashma utara teri baat ki
zikr jab bhi meri sha'iri ka hua
sab ne bauchhaar kar di hidayat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.