ishq ko duniyawi bazar nahin kar sakte
ishq ko duniyāvī bāzār nahīñ kar sakte
dil se dil ke dil pe vaar nahīñ kar sakte
ishq meñ apnī jaan lagā dī aur luTā dī
ab ham phir se vaisā pyaar nahīñ kar sakte
us ko chāhā aur chāhat par qaa.em bhī haiñ
par afsos ke ham iz.hār nahīñ kar sakte
us kī hī tasvīr samā.ī hai āñkhoñ meñ
ab ham tum se āñkheñ chaar nahīñ kar sakte
ishq mohabbat pyaar vafā sab bīmārī hai
ab ham phir ḳhud ko bīmār nahīñ kar sakte
bahr-e-'mīr' meñ likhī haiñ maiñ ne kuchh ġhazleñ
bin bahroñ ke ham ash.ār nahīñ kar sakte
itnā haq to maiñ ne ḳhud ko bhī na diyā hai
mere prem kā tum inkār nahīñ kar sakte
mere haath pe paañv rakho aur tum niklo nā
ab ham donoñ daldal paar nahīñ kar sakte
ishq ko duniyawi bazar nahin kar sakte
dil se dil ke dil pe war nahin kar sakte
ishq mein apni jaan laga di aur luTa di
ab hum phir se waisa pyar nahin kar sakte
us ko chaha aur chahat par qaem bhi hain
par afsos ke hum izhaar nahin kar sakte
us ki hi taswir samai hai aankhon mein
ab hum tum se aankhen chaar nahin kar sakte
ishq mohabbat pyar wafa sab bimari hai
ab hum phir KHud ko bimar nahin kar sakte
bahr-e-'mir' mein likhi hain main ne kuchh ghazlen
bin bahron ke hum ashaar nahin kar sakte
itna haq to main ne KHud ko bhi na diya hai
mere prem ka tum inkar nahin kar sakte
mere hath pe panw rakho aur tum niklo na
ab hum donon daldal par nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.