ishq ko kaamyab hona tha
ishq ko kāmyāb honā thā
aap ko be-naqāb honā thā
kyā shikāyat tire taġhāful kī
ḳhatm merā shabāb honā thā
aap ne hosh kho diye mere
aaj hī be-naqāb honā thā
kyuuñ na dil chhīn kar vo le jaate
zindagī ko ḳharāb honā thā
un hasīnoñ ke zulm sahne ko
merā hī intiḳhāb honā thā
kyuuñ zuleḳhā kā ḳhvāb ban na gayā
gar mujhe kāmyāb honā thā
chiir kar dil ko dil se niklī thī
aah ko kāmyāb honā thā
mil ke 'shankar' se aaj us ne kahā
tujh ko mast-e-sharāb honā thā
ishq ko kaamyab hona tha
aap ko be-naqab hona tha
kya shikayat tere taghaful ki
KHatm mera shabab hona tha
aap ne hosh kho diye mere
aaj hi be-naqab hona tha
kyun na dil chhin kar wo le jate
zindagi ko KHarab hona tha
un hasinon ke zulm sahne ko
mera hi intiKHab hona tha
kyun zuleKHa ka KHwab ban na gaya
gar mujhe kaamyab hona tha
chir kar dil ko dil se nikli thi
aah ko kaamyab hona tha
mil ke 'shankar' se aaj us ne kaha
tujh ko mast-e-sharab hona tha
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 41)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.