ishq ko pahna raha hun aah-o-zari ka libas
ishq ko pahna raha hun aah-o-zari ka libas
Abdul Hafeez Khalish Taskini
MORE BYAbdul Hafeez Khalish Taskini
ishq ko pahnā rahā huuñ āh-o-zārī kā libās
tā ki ho mujh ko mayassar fazl-e-bārī ka libās
kab hamāre vāste lauTeñgī ḳhushiyāñ zindagī
kab utāregā zamāna sogvārī kā libās
raaz meñ phir bhī hamārā ishq rah saktā nahīñ
zeb-tan ham laakh kar leñ parda-dārī kā libās
mere pīchhe paḌ ga.e haiñ saikḌoñ but ai ḳhudā
kar atā īmāñ ko mere pā.edārī kā libās
dar-haqīqat chhoḌ baiThe haiñ sabhī ab ye chalan
ik dikhāvā hai vafā kī pāsdārī ka libās
jaan kar baazī lagānā jaan par aane lagā
bas numā.ish ke liye hai ab to yaarī ka libās
log apnī azmatoñ ke gā rahe haiñ gun 'ḳhalish'
aur maiñ pahne hue huuñ inkisārī kā libās
ishq ko pahna raha hun aah-o-zari ka libas
ta ki ho mujh ko mayassar fazl-e-bari ka libas
kab hamare waste lauTengi KHushiyan zindagi
kab utarega zamana sogwari ka libas
raaz mein phir bhi hamara ishq rah sakta nahin
zeb-tan hum lakh kar len parda-dari ka libas
mere pichhe paD gae hain saikDon but ai KHuda
kar ata iman ko mere paedari ka libas
dar-haqiqat chhoD baiThe hain sabhi ab ye chalan
ek dikhawa hai wafa ki pasdari ka libas
jaan kar bazi lagana jaan par aane laga
bas numaish ke liye hai ab to yari ka libas
log apni azmaton ke ga rahe hain gun 'KHalish'
aur main pahne hue hun inkisari ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.