ishq ko rang-e-mustaqil ai mere chaara-saz de
ishq ko rang-e-mustaqil ai mire chāra-sāz de
saaz na de to soz de soz na de to saaz de
apnī haqīqatoñ se tū hasb-e-talab navāz de
lā mire dast-e-shauq meñ ā.ina-e-majāz de
merā shu.ūr-e-zabt kyoñ chāragaroñ ko raaz de
jis ne diyā thā zaḳhm-e-dil kaash vahī navāz de
aa mire jazb-e-shauq ko martaba-e-ayāz de
nazr karūñ maiñ dil tujhe tū mujhe apnā raaz de
bāda-o-jām kī taraf us kī nazar uThegī kyā
jis ko surūr mustaqil terī nigāh-e-nāz de
maiñ ne 'bahār' ik vo gul chun liyā kā.enāt meñ
jis kī har ik adā mujhe fikr-e-ġhazal navāz de
ishq ko rang-e-mustaqil ai mere chaara-saz de
saz na de to soz de soz na de to saz de
apni haqiqaton se tu hasb-e-talab nawaz de
la mere dast-e-shauq mein aaina-e-majaz de
mera shuur-e-zabt kyon chaaragaron ko raaz de
jis ne diya tha zaKHm-e-dil kash wahi nawaz de
aa mere jazb-e-shauq ko martaba-e-ayaz de
nazr karun main dil tujhe tu mujhe apna raaz de
baada-o-jam ki taraf us ki nazar uThegi kya
jis ko surur mustaqil teri nigah-e-naz de
main ne 'bahaar' ek wo gul chun liya kaenat mein
jis ki har ek ada mujhe fikr-e-ghazal nawaz de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.