ishq ko zar-zar dekha hai
ishq ko zār-zār dekhā hai
har taraf ġham-gusār dekhā hai
pahle tasvīr phaaḌ dī us kī
phir use baar baar dekhā hai
dil hai betāb muntazir āñkheñ
ishq kā rozgār dekhā hai
panchhiyoñ kī bhī haa.e lagtī hai
ham ne kar ke shikār dekhā hai
log marte haiñ zinda rahne ko
zindagī kā ḳhumār dekhā hai
ruuh ko ghar pe chhoḌ aaya thā
jism ko sharmsār dekhā hai
ham ne dekhā gulāb thī lailā
qais ko ḳhaar ḳhaar dekhā hai
ishq ko zar-zar dekha hai
har taraf gham-gusar dekha hai
pahle taswir phaD di us ki
phir use bar bar dekha hai
dil hai betab muntazir aankhen
ishq ka rozgar dekha hai
panchhiyon ki bhi hae lagti hai
hum ne kar ke shikar dekha hai
log marte hain zinda rahne ko
zindagi ka KHumar dekha hai
ruh ko ghar pe chhoD aaya tha
jism ko sharmsar dekha hai
hum ne dekha gulab thi laila
qais ko KHar KHar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.