Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ko zahr kyon pilawe hai

Parvez akhtar

ishq ko zahr kyon pilawe hai

Parvez akhtar

MORE BYParvez akhtar

    ishq ko zahr kyoñ pilāve hai

    ishq to rāsta dikhāve hai

    paañv nange haiñ sar bhī nangā hai

    sūraj uupar se khilkhilāve hai

    ḳhuub raste badal ke dekh liye

    vo har ik rāste meñ aave hai

    chal rahā hai aziyyatoñ safar

    saañs jaave hai saañs aave hai

    log halkān ho rahe haiñ abas

    zindagī kis ke haath aave hai

    vaqt ik dā.ere meñ ghūme hai

    ye ḳhizāñ se bahār laave hai

    kyā ta.ammul hai tere aane meñ

    ashk be-iḳhtiyār aave hai

    roz hove hai kuchh na kuchh aisā

    jo mujhe raat bhar jagāve hai

    jiite ke haiñ sab jhamele yaar

    fard aave hai fard jaave hai

    ek lāsha udhar hai Dolī meñ

    ek lāsha idhar se jaave hai

    merā ham-zād muqābil hai

    kaun dekho kise harāve hai

    vaqt hāthoñ se chukā 'parvez'

    ab kaleja muñh ko aave hai

    ishq ko zahr kyon pilawe hai

    ishq to rasta dikhawe hai

    panw nange hain sar bhi nanga hai

    suraj upar se khilkhilawe hai

    KHub raste badal ke dekh liye

    wo har ek raste mein aawe hai

    chal raha hai aziyyaton ka safar

    sans jawe hai sans aawe hai

    log halkan ho rahe hain abas

    zindagi kis ke hath aawe hai

    waqt ek daere mein ghume hai

    ye KHizan se bahaar lawe hai

    kya tammul hai tere aane mein

    ashk be-iKHtiyar aawe hai

    roz howe hai kuchh na kuchh aisa

    jo mujhe raat bhar jagawe hai

    jite ji ke hain sab jhamele yar

    fard aawe hai fard jawe hai

    ek lasha udhar hai Doli mein

    ek lasha idhar se jawe hai

    mera ham-zad hi muqabil hai

    kaun dekho kise harawe hai

    waqt hathon se ja chuka 'parwez'

    ab kaleja hi munh ko aawe hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now