ishq majbur-e-fughan ai dil-e-nashad nahin
ishq majbūr-e-fuġhāñ ai dil-e-nāshād nahīñ
ye to ik husn kī tā.īd hai fariyād nahīñ
lazzat-e-be-ḳhudī-e-dīd kī rūdād na pūchh
ik fasāna hai jo kuchh yaad hai kuchh yaad nahīñ
ek pāband-e-vafā ek jafā kā pāband
ishq majbūr sahī husn bhī āzād nahīñ
husn-e-ma.anī kī tamāshā.ī haiñ nazreñ merī
paḌh rahā huuñ vo sahīfe jo mujhe yaad nahīñ
aur bedār huā ishq-o-vafā kā ehsās
kaun kahtā hai ki kuchh hāsil-e-bedād nahīñ
mere me.ayār-e-mohabbat ko na pūchho mujh se
intihā ye hai ki ab tum bhī mujhe yaad nahīñ
ḳhaak samjhegā vo asrār-e-mohabbat ai dost
jo mirī tarah tire ishq meñ barbād nahīñ
mere dil meñ tirī taskīn ke sau pahlū the
o mire bhūlne vaale tujhe kyā yaad nahīñ
yās-o-hirmāñ kā ye aalam hai ki allāh allāh
ab ye dil tere tasavvur se bhī ābād nahīñ
lazzat-e-ishq hai bedād-o-sitam ke dam se
vo chaman hī nahīñ jis meñ koī sayyād nahīñ
ab bhī miltā hai mujhe 'ārzū' ishrat kā payām
mā.il-e-aish magar ḳhātir-e-nāshād nahīñ
ishq majbur-e-fughan ai dil-e-nashad nahin
ye to ek husn ki taid hai fariyaad nahin
lazzat-e-be-KHudi-e-did ki rudad na puchh
ek fasana hai jo kuchh yaad hai kuchh yaad nahin
ek paband-e-wafa ek jafa ka paband
ishq majbur sahi husn bhi aazad nahin
husn-e-mani ki tamashai hain nazren meri
paDh raha hun wo sahife jo mujhe yaad nahin
aur bedar hua ishq-o-wafa ka ehsas
kaun kahta hai ki kuchh hasil-e-bedad nahin
mere meayar-e-mohabbat ko na puchho mujh se
intiha ye hai ki ab tum bhi mujhe yaad nahin
KHak samjhega wo asrar-e-mohabbat ai dost
jo meri tarah tere ishq mein barbaad nahin
mere dil mein teri taskin ke sau pahlu the
o mere bhulne wale tujhe kya yaad nahin
yas-o-hirman ka ye aalam hai ki allah allah
ab ye dil tere tasawwur se bhi aabaad nahin
lazzat-e-ishq hai bedad-o-sitam ke dam se
wo chaman hi nahin jis mein koi sayyaad nahin
ab bhi milta hai mujhe 'arzu' ishrat ka payam
mail-e-aish magar KHatir-e-nashad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.