ishq mehnat ka sila had se siwa mangta hai
ishq mehnat ka sila had se siwa mangta hai
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
ishq mehnat kā sila had se sivā māñgtā hai
dil vo mazdūr hai ujrat meñ vafā māñgtā hai
be-sabab saḌkoñ pe āvāra sā ik nañgā badan
koī dīvāna hai zaḳhmoñ kī qabā māñgtā hai
vo kasāfat hai havāoñ meñ ki dam ghuT jaa.e
phir bhī jiine kī har insān duā māñgtā hai
tere is fe.al kā mafhūm samajhnā mushkil
tū hai muḳhtār magar merī razā māñgtā hai
ham qalandar kī nazar aur kahīñ hotī hai
ham nahīñ māñgte vo shai jo gadā māñgtā hai
gher rakkhā hai use vaqt ke fir.aunoñ ne
raah paanī meñ banā de vo asā māñgtā hai
paañv baḌhte nahīñ kuchle hue rastoñ kī taraf
terā 'maqsūd' alag apnī dishā māñgtā hai
ishq mehnat ka sila had se siwa mangta hai
dil wo mazdur hai ujrat mein wafa mangta hai
be-sabab saDkon pe aawara sa ek nanga badan
koi diwana hai zaKHmon ki qaba mangta hai
wo kasafat hai hawaon mein ki dam ghuT jae
phir bhi jine ki har insan dua mangta hai
tere is feal ka mafhum samajhna mushkil
tu hai muKHtar magar meri raza mangta hai
hum qalandar ki nazar aur kahin hoti hai
hum nahin mangte wo shai jo gada mangta hai
gher rakkha hai use waqt ke firaunon ne
rah pani mein bana de wo asa mangta hai
panw baDhte nahin kuchle hue raston ki taraf
tera 'maqsud' alag apni disha mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.