ishq mein apne zabun-haal jo mera dekha
ishq meñ apne zabūñ-hāl jo merā dekhā
hañs ke farmāyā mohabbat kā natīja dekhā
kisī dushman ke bhī dushman ko dikhā.e na ḳhudā
jo mire dil ne shab-e-hijr meñ sadma dekhā
apnī āñkhoñ meñ rahī maah kī tauqīr na kuchh
ham ne jis din se tumhārā ruḳh-e-zebā dekhā
ham ne bāzār-e-mohabbat meñ dil-e-vārafta
har taraf terā hī hote hue charchā dekhā
jab nazar paḌtī hai 'sābir' to ġhash aa jaatā hai
phir to yaksāñ hai nahīñ dekhā use yā dekhā
ishq mein apne zabun-haal jo mera dekha
hans ke farmaya mohabbat ka natija dekha
kisi dushman ke bhi dushman ko dikhae na KHuda
jo mere dil ne shab-e-hijr mein sadma dekha
apni aankhon mein rahi mah ki tauqir na kuchh
hum ne jis din se tumhaara ruKH-e-zeba dekha
hum ne bazar-e-mohabbat mein dil-e-warafta
har taraf tera hi hote hue charcha dekha
jab nazar paDti hai 'sabir' to ghash aa jata hai
phir to yaksan hai nahin dekha use ya dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.