ishq mein arz-o-samawat uTha lae hain
ishq mein arz-o-samawat uTha lae hain
Faizan Jaffery Al-Khwarzami
MORE BYFaizan Jaffery Al-Khwarzami
'ishq meñ arz-o-samāvāt uThā laa.e haiñ
yā'nī ham hijr ke din-rāt uThā laa.e haiñ
ham ne us aañkh se poñchhe haiñ vafā ke aañsū
aap jis aañkh se āfāt uThā laa.e haiñ
har nazar-bāz havas kā hī pujārī hogā
log bāzār se ik baat uThā laa.e haiñ
ham ḳharīdār the ummīd-o-rajā ke lekin
jeb se tang the so maat uThā laa.e haiñ
yuuñ kahīñ aate na jaate haiñ magar is dar par
ham ko ik yaad ke zarrāt uThā laa.e haiñ
'ishq mein arz-o-samawat uTha lae hain
ya'ni hum hijr ke din-raat uTha lae hain
hum ne us aankh se ponchhe hain wafa ke aansu
aap jis aankh se aafat uTha lae hain
har nazar-baz hawas ka hi pujari hoga
log bazar se ek baat uTha lae hain
hum KHaridar the ummid-o-raja ke lekin
jeb se tang the so mat uTha lae hain
yun kahin aate na jate hain magar is dar par
hum ko ek yaad ke zarraat uTha lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.