ishq mein barbaad hone par pashemani to hai
ishq meñ barbād hone par pashemānī to hai
phir bhī merī qadr-o-qīmat us ne pahchānī to hai
saañs lenā bhī jahāñ mushkil hai is māhaul meñ
mujh ko zinda dekh kar logoñ ko hairānī to hai
ġham-gusārī merī aadat ban ga.ī hai kyā karūñ
dūsroñ kā ġham uThāne meñ pareshānī to hai
haath un se bhī milāne ke liye tayyār huuñ
dushmanoñ se dostī kī baat nādānī to hai
kaun sī aisī duā hai jo na hogī ab qubūl
aañkh se aañsū ravāñ sajde meñ peshānī to hai
shauq hai pur-pech rāhoñ se guzarne kā 'zafar'
varna sīdhā rāsta chalne meñ āsānī to hai
ishq mein barbaad hone par pashemani to hai
phir bhi meri qadr-o-qimat us ne pahchani to hai
sans lena bhi jahan mushkil hai is mahaul mein
mujh ko zinda dekh kar logon ko hairani to hai
gham-gusari meri aadat ban gai hai kya karun
dusron ka gham uThane mein pareshani to hai
hath un se bhi milane ke liye tayyar hun
dushmanon se dosti ki baat nadani to hai
kaun si aisi dua hai jo na hogi ab qubul
aankh se aansu rawan sajde mein peshani to hai
shauq hai pur-pech rahon se guzarne ka 'zafar'
warna sidha rasta chalne mein aasani to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.