Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein be-abru hona paDa

Ameen Hazin

ishq mein be-abru hona paDa

Ameen Hazin

MORE BYAmeen Hazin

    ishq meñ be-ābrū honā paḌā

    do din meñ tum se honā paḌā

    thī ye kis aarzū jis ke liye

    tārik-e-sad-ārzū honā paḌā

    lāla-zār-e-sīna haañ tere liye

    aañkh ko āb-jū honā paḌā

    kin balā-noshoñ bazm-e-dahr meñ

    shīsha-o-jām-o-subū honā paḌā

    tā-ba-kai luuñ kaam sabr-o-zabt se

    āsmāñ se dū-badū honā paḌā

    ishq anjām rangīñ dekhiye

    ashk-e-sāda ko lahū honā paḌā

    andalīb-e-bāġh-e-hastī ko 'amīñ'

    mubtalā-e-rang-o-bū honā paḌā

    ishq mein be-abru hona paDa

    do hi din mein tum se tu hona paDa

    thi ye kis ki aarzu jis ke liye

    tarik-e-sad-arzu hona paDa

    lala-zar-e-sina han tere liye

    aankh hi ko aab-ju hona paDa

    kin bala-noshon ka bazm-e-dahr mein

    shisha-o-jam-o-subu hona paDa

    ta-ba-kai lun kaam sabr-o-zabt se

    aasman se du-badu hona paDa

    ishq ka anjam rangin dekhiye

    ashk-e-sada ko lahu hona paDa

    andalib-e-bagh-e-hasti ko 'amin'

    mubtala-e-rang-o-bu hona paDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now