ishq mein chahiye ye kar jaana
ishq mein chahiye ye kar jaana
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
ishq meñ chāhiye ye kar jaanā
kal ke marne se aaj mar jaanā
kījiye zab.h shauq se mujh ko
sar kā jaanā hai dard-e-sar jaanā
kuchh samajh kar nikāliye mujh ko
pahle kahiye ki hai kidhar jaanā
dil ko samjhe to ham yahī samjhe
ek dushman ko apne ghar jaanā
abhī aa.e ho aur kahte ho
hai mujhe to zarūr ghar jaanā
ḳhuub khilvā.ī Thokareñ dil ne
ham ne gumrāh ko rāhbar jaanā
le gayā shauq bazm-e-dushman meñ
is ko kyoñ maiñ ne bā-ḳhabar jaanā
ḳhuub aatā hai aap ko sāhib
kabhī kahnā kabhī mukar jaanā
vo chale aaj bazm-e-dushman meñ
jazb-e-dil kuchh to kaam kar jaanā
jaao jaao vo 'lutf' kahte haiñ
ziist se chāhiye guzar jaanā
ishq mein chahiye ye kar jaana
kal ke marne se aaj mar jaana
kijiye zabh shauq se mujh ko
sar ka jaana hai dard-e-sar jaana
kuchh samajh kar nikaliye mujh ko
pahle kahiye ki hai kidhar jaana
dil ko samjhe to hum yahi samjhe
ek dushman ko apne ghar jaana
abhi aae ho aur kahte ho
hai mujhe to zarur ghar jaana
KHub khilwai Thokaren dil ne
hum ne gumrah ko rahbar jaana
le gaya shauq bazm-e-dushman mein
is ko kyon main ne ba-KHabar jaana
KHub aata hai aap ko sahib
kabhi kahna kabhi mukar jaana
wo chale aaj bazm-e-dushman mein
jazb-e-dil kuchh to kaam kar jaana
jao jao wo 'lutf' kahte hain
zist se chahiye guzar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.