ishq mein chur bhi hun pairu-e-mansur bhi hun
ishq mein chur bhi hun pairu-e-mansur bhi hun
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
ishq meñ chuur bhī huuñ pairū-e-mansūr bhī huuñ
ya.anī maiñ tuur bhī huuñ barq-e-sar-e-tūr bhī huuñ
jān-e-‘anvar’ tujhe ma.alūm nahīñ haal mirā
huuñ to duniyā hī meñ duniyā se magar duur bhī huuñ
tū mire TuuTe hue dil kī navāoñ pe na jā
saaz hī saaz nahīñ soz se māmūr bhī huuñ
go har ik baat meñ āzād huuñ muḳhtār huuñ maiñ
phir bhī ik baat kuchh aisī hai ki majbūr bhī huuñ
rag-o-pai meñ to samā fitrat-e-pur-soz to dekh
maiñ faqat ḳhaak nahīñ naar bhī huuñ nuur bhī huuñ
dekhne hī kī ye āñkheñ haiñ nazar ḳhaak nahīñ
jalve āñkhoñ meñ bhī haiñ diid se ma.azūr bhī huuñ
aap ko chāhtā huuñ jab aap ko kho detā huuñ
ye ajab vasl kā aalam hai ki mahjūr bhī huuñ
qābil-e-rahm huuñ ai dost mirā haal na pūchh
huuñ ham-āġhosh bhī aur tujh se bahut duur bhī huuñ
ye to ik jabr hai terā ki maiñ muḳhtār nahīñ
varna tauba maiñ kisī baat meñ majbūr bhī huuñ
ab mohabbat hī mohabbat hai ayaañ aur nihāñ
maiñ isī chādar-e-sīmāb meñ mastūr bhī huuñ
tujh ko ma.alūm hai apnā hī mujhe hosh nahīñ
varna muḳhtār huuñ har chand ki majbūr bhī huuñ
aaj shāyad ġham-e-ehsās kī takmīl huī
ki tire ishq meñ maġhmūm bhī masrūr bhī huuñ
ishq mein chur bhi hun pairu-e-mansur bhi hun
yani main tur bhi hun barq-e-sar-e-tur bhi hun
jaan-e-‘anwar’ tujhe malum nahin haal mera
hun to duniya hi mein duniya se magar dur bhi hun
tu mere TuTe hue dil ki nawaon pe na ja
saz hi saz nahin soz se mamur bhi hun
go har ek baat mein aazad hun muKHtar hun main
phir bhi ek baat kuchh aisi hai ki majbur bhi hun
rag-o-pai mein to sama fitrat-e-pur-soz to dekh
main faqat KHak nahin nar bhi hun nur bhi hun
dekhne hi ki ye aankhen hain nazar KHak nahin
jalwe aankhon mein bhi hain did se mazur bhi hun
aap ko chahta hun jab aap ko kho deta hun
ye ajab wasl ka aalam hai ki mahjur bhi hun
qabil-e-rahm hun ai dost mera haal na puchh
hun ham-aghosh bhi aur tujh se bahut dur bhi hun
ye to ek jabr hai tera ki main muKHtar nahin
warna tauba main kisi baat mein majbur bhi hun
ab mohabbat hi mohabbat hai ayan aur nihan
main isi chadar-e-simab mein mastur bhi hun
tujh ko malum hai apna hi mujhe hosh nahin
warna muKHtar hun har chand ki majbur bhi hun
aaj shayad gham-e-ehsas ki takmil hui
ki tere ishq mein maghmum bhi masrur bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.