ishq mein dekhin na diwanon ne rah ki KHwariyan
'ishq meñ dekhīñ na dīvānoñ ne rah kī ḳhvāriyāñ
'aql vaale ghar meñ karte rah ga.e tayyāriyāñ
zindagī ke mai-kade meñ maut ke chalte haiñ jaam
jaam piine ke liye sab kī lagī haiñ bāriyāñ
jo bhī kāñToñ par chalā āḳhir vo pā.egā gulāb
bā'is-e-in'ām haiñ ye raah kī dushvāriyāñ
jin sa'īdoñ ne kiyā puurā siyām-e-zindagī
vo kareñge meva-hā-e-ḳhuld se iftāriyāñ
paas se dekheñ to khultī hai haqīqat husn kī
duur se lagtī haiñ saarī sūrateñ hī pyāriyāñ
kaun kahtā hai jahāñ se rasm-e-yārī uTh ga.ī
ik na ik din rang le ā.eñgī apnī yāriyāñ
dūsroñ se maiñ huuñ mujh se dūsre haiñ be-ḳhabar
vaah maulā kyā 'ajab haiñ teriyāñ sattāriyāñ
shā'irān-e-'ahd-e-nau ne kar diyā urdu kā ḳhuuñ
shā'irī ke naam par karne lage fankāriyāñ
'ishq mein dekhin na diwanon ne rah ki KHwariyan
'aql wale ghar mein karte rah gae tayyariyan
zindagi ke mai-kade mein maut ke chalte hain jam
jam pine ke liye sab ki lagi hain bariyan
jo bhi kanTon par chala aaKHir wo paega gulab
ba'is-e-in'am hain ye rah ki dushwariyan
jin sa'idon ne kiya pura siyam-e-zindagi
wo karenge mewa-ha-e-KHuld se iftariyan
pas se dekhen to khulti hai haqiqat husn ki
dur se lagti hain sari suraten hi pyariyan
kaun kahta hai jahan se rasm-e-yari uTh gai
ek na ek din rang le aaengi apni yariyan
dusron se main hun mujh se dusre hain be-KHabar
wah maula kya 'ajab hain teriyan sattariyan
sha'iran-e-'ahd-e-nau ne kar diya urdu ka KHun
sha'iri ke nam par karne lage fankariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.