ishq mein dosto maza bhi hai
ishq meñ dosto mazā bhī hai
saḳht aafat bhī hai balā bhī hai
bosa to mil chukā mujhe sarkār
merī ik aur iltijā bhī hai
mujh sā āshiq kaho ḳhudā kī qasam
koī duniyā meñ dūsrā bhī hai
va.ada kar ke buto na ham se phiro
kuchh to dil meñ Daro ḳhudā bhī hai
tere is jaur kī hai kuchh had bhī
is sitam kī kuchh intihā bhī hai
aaj jaatā huuñ us ke kūche ko
saath mere mirī qazā bhī hai
mujh se kahte haiñ ab tire dil meñ
aur koī mire sivā bhī hai
aise māshūq hote haiñ kamyāb
bā-vafā bhī vo bā-hayā bhī hai
maiñ ne chheḌā jo bazm meñ to kahā
be-hayā tujh ko kuchh hayā bhī hai
sach kaho 'ranj' sā koī shā.ir
Hyderabad meñ huā bhī hai
ishq mein dosto maza bhi hai
saKHt aafat bhi hai bala bhi hai
bosa to mil chuka mujhe sarkar
meri ek aur iltija bhi hai
mujh sa aashiq kaho KHuda ki qasam
koi duniya mein dusra bhi hai
wada kar ke buto na hum se phiro
kuchh to dil mein Daro KHuda bhi hai
tere is jaur ki hai kuchh had bhi
is sitam ki kuchh intiha bhi hai
aaj jata hun us ke kuche ko
sath mere meri qaza bhi hai
mujh se kahte hain ab tere dil mein
aur koi mere siwa bhi hai
aise mashuq hote hain kamyab
ba-wafa bhi wo ba-haya bhi hai
main ne chheDa jo bazm mein to kaha
be-haya tujh ko kuchh haya bhi hai
sach kaho 'ranj' sa koi shair
Hyderabad mein hua bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.