ishq mein haara hua hun kaamrani kuchh nahin
'ishq meñ haarā huā huuñ kāmrānī kuchh nahīñ
mere hissa meñ sanam kī mehrbānī kuchh nahīñ
chhoḌ kar titlī ga.ī hai jab se dil ke baaġh ko
dil meñ bas vīrāniyāñ haiñ rut suhānī kuchh nahīñ
kashtī se bichhḌā jo dariyā ab talak sadme meñ hai
jam ga.ī hai barf is meñ aur ravānī kuchh nahīñ
aa.ine ko hairateñ haiñ haal merā dekh kar
daaġh chehre pe hai mere naujavānī kuchh nahīñ
ḳhat jalā.e maiñ ne saare jo diye the yaar ne
paas mere us kī sāhab ab nishānī kuchh nahīñ
ḳhalvatoñ ke saa.e meñ huuñ yaar ik muddat se maiñ
chaar sū hai bas udāsī shādmānī kuchh nahīñ
Dākiyā hī the kabūtar pahle mobile na thā
bāteñ saarī ḳhat se kī thiiñ muñh-zabānī kuchh nahīñ
bin tire kaise kahūñ ab kis tarah batlā.ūñ maiñ
saañs chaltī hai faqat ye zindagānī kuchh nahīñ
muddateñ guzrī haiñ 'sāriq' yaar ko dekhe hue
kyā kareñ lab se bayāñ ab ḳhush-bayānī kuchh nahīñ
'ishq mein haara hua hun kaamrani kuchh nahin
mere hissa mein sanam ki mehrbani kuchh nahin
chhoD kar titli gai hai jab se dil ke bagh ko
dil mein bas viraniyan hain rut suhani kuchh nahin
kashti se bichhDa jo dariya ab talak sadme mein hai
jam gai hai barf is mein aur rawani kuchh nahin
aaine ko hairaten hain haal mera dekh kar
dagh chehre pe hai mere naujawani kuchh nahin
KHat jalae main ne sare jo diye the yar ne
pas mere us ki sahab ab nishani kuchh nahin
KHalwaton ke sae mein hun yar ek muddat se main
chaar su hai bas udasi shadmani kuchh nahin
Dakiya hi the kabutar pahle mobile na tha
baaten sari KHat se ki thin munh-zabani kuchh nahin
bin tere kaise kahun ab kis tarah batlaun main
sans chalti hai faqat ye zindagani kuchh nahin
muddaten guzri hain 'sariq' yar ko dekhe hue
kya karen lab se bayan ab KHush-bayani kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.