ishq mein har bala ko aane do
ishq meñ har balā ko aane do
mujh ko merā maqām paane do
guzrī bātoñ ko kaise jaane duuñ
ahd-e-māzī ko yaad aane do
marhaloñ se gurez kyā māne.a
himmat-e-zīst ko baḌhāne do
ḳhud samajh leñge dil ko vo mere
un ko dil ke qarīb aane do
kal unheñ bhī to phuul banñā hai
aaj ġhunchoñ ko muskurāne do
un kī dariyā-dilī ko dekheñ ham
aaj dāman hameñ baḌhāne do
jin ko 'rāje' qarīb samjhā hai
vo satāte haiñ to satāne do
ishq mein har bala ko aane do
mujh ko mera maqam pane do
guzri baaton ko kaise jaane dun
ahd-e-mazi ko yaad aane do
marhalon se gurez kya manea
himmat-e-zist ko baDhane do
KHud samajh lenge dil ko wo mere
un ko dil ke qarib aane do
kal unhen bhi to phul banna hai
aaj ghunchon ko muskurane do
un ki dariya-dili ko dekhen hum
aaj daman hamein baDhane do
jin ko 'raje' qarib samjha hai
wo satate hain to satane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.