ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun
ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun
Turfa Qureshi
MORE BYTurfa Qureshi
'ishq meñ har tamannā-e-qalb-e-hazīñ surḳh aañsū bahā.e to maiñ kyā karūñ
nā-umīdī hama-vaqt ummīd ke hāshiyoñ ko miTā.e to maiñ kyā karūñ
us ke ruḳhsār sub.h-e-daraḳhshāñ sahī us kī zulfoñ meñ shām-e-ġharībāñ sahī
dhuup aur chhāñv kī tarah vo ḳhud-nigar sāmne mere aa.e to maiñ kyā karūñ
vo alag maiñ alag vo kahīñ haiñ kahīñ vāqa'ī ye to shāyān-e-ulfat nahīñ
vo adā-āshnā husn-e-nāz-āfrīñ be-niyāzī dikhā.e to maiñ kyā karūñ
hai safīne kā mere muhāfiz ḳhudā nā-ḳhudā bhī madad-gār hai ab mirā
ye bhī maanā ki hai ab muāfiq havā dil hī jab Duub jaa.e to maiñ kyā karūñ
āh-e-sozāñ kā ulfat meñ yaarā nahīñ tujh pe aañch aa.e mutlaq gavārā nahīñ
uḌ ke chingāriyāñ ātish-e-vaqt kī terā dāman jalā.e to maiñ kyā karūñ
kaun sā ġham hai jis kā mudāvā nahīñ kaun sā dard hai jis kā chārā nahīñ
'ishq ko ġham ho pyārā to kyā kījiye dard hī dil ko bhaa.e to maiñ kyā karūñ
kaam jo rahnumā kā thā maiñ ne kiyā us kī manzil kā us ko pata bhī diyā
phir bhī 'turfa' koī rahrav-e-kam-nazar rāsta bhuul jaa.e to maiñ kyā karūñ
'ishq mein har tamanna-e-qalb-e-hazin surKH aansu bahae to main kya karun
na-umidi hama-waqt ummid ke hashiyon ko miTae to main kya karun
us ke ruKHsar subh-e-daraKHshan sahi us ki zulfon mein sham-e-ghariban sahi
dhup aur chhanw ki tarah wo KHud-nigar samne mere aae to main kya karun
wo alag main alag wo kahin hain kahin waqa'i ye to shayan-e-ulfat nahin
wo ada-ashna husn-e-naz-afrin be-niyazi dikhae to main kya karun
hai safine ka mere muhafiz KHuda na-KHuda bhi madad-gar hai ab mera
ye bhi mana ki hai ab muafiq hawa dil hi jab Dub jae to main kya karun
aah-e-sozan ka ulfat mein yara nahin tujh pe aanch aae mutlaq gawara nahin
uD ke chingariyan aatish-e-waqt ki tera daman jalae to main kya karun
kaun sa gham hai jis ka mudawa nahin kaun sa dard hai jis ka chaara nahin
'ishq ko gham ho pyara to kya kijiye dard hi dil ko bhae to main kya karun
kaam jo rahnuma ka tha main ne kiya us ki manzil ka us ko pata bhi diya
phir bhi 'turfa' koi rahraw-e-kam-nazar rasta bhul jae to main kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.