ishq mein husn halchal machata chale
'ishq meñ husn halchal machātā chale
saath meñ naaz bhī kuchh dikhātā chale
'ishq kī zid hai ki husn pāband ho
dard ko apne dil meñ chhupātā chale
vo vafā kā alam le ke nikle agar
sūrat-e-ā.ina kuchh dikhātā chale
kaifiyat ko chhupānā baḌī baat hai
'ishq har baat lekin batātā chale
'ishq bechāre kā kaam itnā sā hai
husn ke naaz hī bas uThātā chale
us kī dīda-varī dekh liije zarā
apnī āñkhoñ se kyā kyā sikhātā chale
us sitamgar kā 'nik.hat' hai badla 'ajab
bas vafā par mirī muskurātā chale
'ishq mein husn halchal machata chale
sath mein naz bhi kuchh dikhata chale
'ishq ki zid hai ki husn paband ho
dard ko apne dil mein chhupata chale
wo wafa ka alam le ke nikle agar
surat-e-aina kuchh dikhata chale
kaifiyat ko chhupana baDi baat hai
'ishq har baat lekin batata chale
'ishq bechaare ka kaam itna sa hai
husn ke naz hi bas uThata chale
us ki dida-wari dekh lije zara
apni aankhon se kya kya sikhata chale
us sitamgar ka 'nikhat' hai badla 'ajab
bas wafa par meri muskuraata chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.