ishq mein ek aasani hai sab chizen kam-kam kafi hain
ishq meñ ik āsānī hai sab chīzeñ kam-kam kaafī haiñ
ham ko bhī ab vasl-o-hijr ke do hī mausam kaafī haiñ
jā tū us kā ho jā jānāñ us ko ishq zarūrī hai
apne liye to terī yādeñ ġhazleñ aur ram kaafī haiñ
kaun haiñ ye jo bain kare haiñ un se kahiye ghar jaa.eñ
ek janāze meñ ik insāñ aur us ke ġham kaafī haiñ
hoñT hue haiñ jūThe apne dil bhī thoḌā ġhā.eb hai
tum ko mileñge jānāñ aadhe paune hī ham kaafī haiñ
tum kyā ishq karogī 'muditā' ye sar-dardī rahne do
tum ko pareshāñ karne ko to zulfoñ ke ḳham kaafī haiñ
ishq mein ek aasani hai sab chizen kam-kam kafi hain
hum ko bhi ab wasl-o-hijr ke do hi mausam kafi hain
ja tu us ka ho ja jaanan us ko ishq zaruri hai
apne liye to teri yaaden ghazlen aur ram kafi hain
kaun hain ye jo bain kare hain un se kahiye ghar jaen
ek janaze mein ek insan aur us ke gham kafi hain
honT hue hain juThe apne dil bhi thoDa ghaeb hai
tum ko milenge jaanan aadhe paune hi hum kafi hain
tum kya ishq karogi 'mudita' ye sar-dardi rahne do
tum ko pareshan karne ko to zulfon ke KHam kafi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.