ishq mein ek nai ijad kahegi duniya
'ishq meñ ik na.ī ījād kahegī duniyā
tum ko miTTī to mujhe khaad kahegī duniyā
us ko ye baat samajh meñ nahīñ aatī kyūñkar
kis tarah bhiik ko imdād kahegī duniyā
mujh ko Dar hai vo na ban jaa.e ġhulām-ibn-e-ġhulām
us kī hasrat hai kab āzād kahegī duniyā
she’r mere jo kiye naam se apne mansūb
ġhair-aulād ko aulād kahegī duniyā
raat kī kokh se sūraj bhī huā paidā magar
jugnuoñ tum ko hī shab-zād kahegī duniyā
tum ḳhudā-e-suḳhan ārā.ish-e-afkār ho 'mīr'
merī ġhazloñ ko ḳhudā-dād kahegī duniyā
parcham-e-ishq to lahrā gayā aise 'dilbar'
ab kisī ko bhī na farhād kahegī duniyā
'ishq mein ek nai ijad kahegi duniya
tum ko miTTi to mujhe khad kahegi duniya
us ko ye baat samajh mein nahin aati kyunkar
kis tarah bhik ko imdad kahegi duniya
mujh ko Dar hai wo na ban jae ghulam-ibn-e-ghulam
us ki hasrat hai kab aazad kahegi duniya
she’r mere jo kiye nam se apne mansub
ghair-aulad ko aulad kahegi duniya
raat ki kokh se suraj bhi hua paida magar
jugnuon tum ko hi shab-zad kahegi duniya
tum KHuda-e-suKHan aaraish-e-afkar ho 'mir'
meri ghazlon ko KHuda-dad kahegi duniya
parcham-e-ishq to lahra gaya aise 'dilbar'
ab kisi ko bhi na farhad kahegi duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.