ishq mein ishq ka unwan nahin dekha jata
ishq meñ ishq kā unvāñ nahīñ dekhā jaatā
dard meñ dard kā darmāñ nahīñ dekhā jaatā
ālam-e-ḳhvāb-e-pareshāñ nahīñ dekhā jaatā
dil ko ehsās-ba-dāmāñ nahīñ dekhā jaatā
un se kah de koī vo muuñd leñ āñkheñ apnī
jin se nairañg-e-gulistāñ nahīñ dekhā jaatā
be-ḳhudī merī vahāñ laa.ī jahāñ phir dil se
ālam-e-hosh ko giryāñ nahīñ dekhā jaatā
merī mastī ko jo samjhe haiñ ba-nām-e-mastī
un se paimāna-e-insāñ nahīñ dekhā jaatā
in ḳhizāñ-āshnā āñkhoñ se ba-rañg-e-fitrat
kaif-e-hañgām-e-bahārāñ nahīñ dekhā jaatā
'zeb' kyā hai ye nizām-e-ġham-e-daurāñ tauba
inqilāb-e-ġham-e-daurāñ nahīñ dekhā jaatā
ishq mein ishq ka unwan nahin dekha jata
dard mein dard ka darman nahin dekha jata
aalam-e-KHwab-e-pareshan nahin dekha jata
dil ko ehsas-ba-daman nahin dekha jata
un se kah de koi wo mund len aankhen apni
jin se nairang-e-gulistan nahin dekha jata
be-KHudi meri wahan lai jahan phir dil se
aalam-e-hosh ko giryan nahin dekha jata
meri masti ko jo samjhe hain ba-nam-e-masti
un se paimana-e-insan nahin dekha jata
in KHizan-ashna aankhon se ba-rang-e-fitrat
kaif-e-hangam-e-bahaaran nahin dekha jata
'zeb' kya hai ye nizam-e-gham-e-dauran tauba
inqilab-e-gham-e-dauran nahin dekha jata
- Book : Nigar Khane (Pg. 65)
- Author : Mata Prashad Istihana Zeb Brelavi
- Publication : Abdul bari aasii Acadami alatosh Road, Lucknow (1966)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.