ishq mein itna asar ho ye zaruri to nahin
ishq mein itna asar ho ye zaruri to nahin
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
ishq meñ itnā asar ho ye zarūrī to nahīñ
un ko ab merī ḳhabar ho ye zarūrī to nahīñ
gāmzan huuñ maiñ jahāñ josh-e-junūñ meñ ai dost
vo tirī rāhguzar ho ye zarūrī to nahīñ
ashk bhī mere jalā sakte haiñ dāman un kā
sirf aahoñ meñ asar ho ye zarūrī to nahīñ
vaqt aatā hai to phūloñ meñ basar hotī hai
umr kāñToñ pe basar ho ye zarūrī to nahīñ
jaan denā to hai ā.īn-e-vafā meñ lekin
zulm kī teġh pe sar ho ye zarūrī to nahīñ
vo to āġhosh-e-tasavvur meñ bhī aa saktā hai
husn ḳhud pesh-e-nazar ho ye zarūrī to nahīñ
un ko pā sakte haiñ jab ḳhāna-e-dil meñ 'anvar'
chāñd kī samt safar ho ye zarūrī to nahīñ
ishq mein itna asar ho ye zaruri to nahin
un ko ab meri KHabar ho ye zaruri to nahin
gamzan hun main jahan josh-e-junun mein ai dost
wo teri rahguzar ho ye zaruri to nahin
ashk bhi mere jala sakte hain daman un ka
sirf aahon mein asar ho ye zaruri to nahin
waqt aata hai to phulon mein basar hoti hai
umr kanTon pe basar ho ye zaruri to nahin
jaan dena to hai aain-e-wafa mein lekin
zulm ki tegh pe sar ho ye zaruri to nahin
wo to aaghosh-e-tasawwur mein bhi aa sakta hai
husn KHud pesh-e-nazar ho ye zaruri to nahin
un ko pa sakte hain jab KHana-e-dil mein 'anwar'
chand ki samt safar ho ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.