ishq mein iztirab ki duniya
'ishq meñ iztirāb kī duniyā
dūsrī hai 'azāb kī duniyā
ek mā'nā meñ donoñ haiñ mausūm
merī duniyā habāb kī duniyā
use chāhā azal se chāhā jise
marhabā intiḳhāb kī duniyā
shaan mujh ko dikhātā hai mahshar
al-madad iztirāb kī duniyā
baḌh ga.e jab hudūd-e-hastī se
uTh ga.ī ḳhud hijāb kī duniyā
'ishq meñ jab vafā pe baat aa.ī
ban gayā dil javāb kī duniyā
is karam par bhī tum se ban na sakī
kisī ḳhāna-ḳharāb kī duniyā
kaun shai meñ nahīñ vo jalva-pazīr
hai rivājan hijāb kī duniyā
aane do vaqt-e-pursish-e-ā'māl
chashm-e-tar hai javāb kī duniyā
dekh 'rāfat' tū apnā mustaqbil
tā-ba-kai ye shabāb kī duniyā
'ishq mein iztirab ki duniya
dusri hai 'azab ki duniya
ek ma'na mein donon hain mausum
meri duniya habab ki duniya
use chaha azal se chaha jise
marhaba intiKHab ki duniya
shan mujh ko dikhata hai mahshar
al-madad iztirab ki duniya
baDh gae jab hudud-e-hasti se
uTh gai KHud hijab ki duniya
'ishq mein jab wafa pe baat aai
ban gaya dil jawab ki duniya
is karam par bhi tum se ban na saki
kisi KHana-KHarab ki duniya
kaun shai mein nahin wo jalwa-pazir
hai riwajan hijab ki duniya
aane do waqt-e-pursish-e-a'mal
chashm-e-tar hai jawab ki duniya
dekh 'rafat' tu apna mustaqbil
ta-ba-kai ye shabab ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.