ishq mein jaan ke nuqsan bahut hote hain
'ishq meñ jaan ke nuqsān bahut hote haiñ
kāmyābī ke bhī imkān bahut hote haiñ
shoḳhī āñkhoñ se chhalak jaa.e to hairat na karo
'umr jab kam ho to armān bahut hote haiñ
chāñd ko chāñd jo maiñ bazm meñ kah detā huuñ
jaane kyoñ log pareshān bahut hote haiñ
un kī thoḌī sī tavajjoh pe bhī itrātā huuñ
maan ke saath hoñ do paan bahut hote haiñ
kuchh asar hī nahīñ letā hai mohabbat kā mizāj
'aql ke shahr meñ e'lān bahut hote haiñ
ye alag baat zarā bhī unheñ ehsās nahīñ
dekhne vaale to hairān bahut hote haiñ
jab talak haath nahīñ aatī hunar kī garmī
she'r hote haiñ to be-jān bahut hote haiñ
achchhe shā'ir ke liye chaar varaq kam bhī nahīñ
yuuñ to phir sāhib-e-dīvān bahut hote haiñ
'ishq mein jaan ke nuqsan bahut hote hain
kaamyabi ke bhi imkan bahut hote hain
shoKHi aankhon se chhalak jae to hairat na karo
'umr jab kam ho to arman bahut hote hain
chand ko chand jo main bazm mein kah deta hun
jaane kyon log pareshan bahut hote hain
un ki thoDi si tawajjoh pe bhi itraata hun
man ke sath hon do pan bahut hote hain
kuchh asar hi nahin leta hai mohabbat ka mizaj
'aql ke shahr mein e'lan bahut hote hain
ye alag baat zara bhi unhen ehsas nahin
dekhne wale to hairan bahut hote hain
jab talak hath nahin aati hunar ki garmi
she'r hote hain to be-jaan bahut hote hain
achchhe sha'ir ke liye chaar waraq kam bhi nahin
yun to phir sahib-e-diwan bahut hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.