ishq mein jab bhi saneha hoga
ishq meñ jab bhī sāneha hogā
dil hī TūTegā aur kyā hogā
raat ko phone maiñ nahīñ kartā
vo koī ḳhvāb dekhtā hogā
apnī himmat javān to rakkho
bahte dariyā meñ rāsta hogā
us ko fursat kabhī nahīñ hogī
aadmī jo bhī kaam kā hogā
apne ghar meñ baḌā to maiñ hī huuñ
har koī mujh se hī ḳhafā hogā
raat ke do baje haiñ 'maikash' jī
ab to vo sher kah rahā hogā
ishq mein jab bhi saneha hoga
dil hi TuTega aur kya hoga
raat ko phone main nahin karta
wo koi KHwab dekhta hoga
apni himmat jawan to rakkho
bahte dariya mein rasta hoga
us ko fursat kabhi nahin hogi
aadmi jo bhi kaam ka hoga
apne ghar mein baDa to main hi hun
har koi mujh se hi KHafa hoga
raat ke do baje hain 'maikash' ji
ab to wo sher kah raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.